Thursday, August 27, 2009

Tribute given long back

Was just scavenging through my earlier stuff and came across this wonderful tribute I paid to my best friends in professional life and now personal life.

Might be pretty hard for everyone to relate but a tribute like this should not go unnoticed :) So here it is

5 logo ki baat karunga tumhain ginke,

rajat, vani, keyur, shivika, dipali naam hai jinke,

ye log sabse alag hai jaha main,

kisse sun ke hasoge tum bhi yaha pe.

sabse pehle bolunga main rajat ke upar,

bohot pareshaan kiya hai use par dost hai wo super;

jab usse pehli baar mila main apni college main,

pata nahi tha uske pas itni knowledge hai;

usko dekh ke lagta hai ki ek bhola baccha aa raha hai,

gatey usko sun lagta hai koi ustaad gaa raha hai;

tujhe lagta hoga ki main teri bohot mazak karta hun,

par tu mujhse bichad na jaye isse main darta hun;

tune mere saath cat ke classes join kiye,

aur na jane kitne mere kaam kiye;

jinke liye main tera shukraguzaar hun,

tujhe gale lagane ke liye hamesha bekaraar hun;

teri maa ki banayi mithaiyan main kha jata tha,

tujhe baccha keh ke chidane main bada maza aata tha;

jab tu mere saath satyam main select hua,

mujhe laga bhagwaan ne sun li meri dua;

hyderabad main kitne maze kiye humne,

company se aakar kitna soye hum dinme;

yaad hai wo niche ki aunty ka lecture sunna sunana,

aur raat ko late aane par ashwin bhaiya ko dena bahana;

sunday ko jab hum nashta karne baithte the,

"rajat tune to kuch kahya hi nahi" aisa kehte the;

subah roz tujhe hi sabse jaldi uthate the,

aur saamne manisha ben se khana lane ke liye bakra banate the;

tere pe subah ko kudne main bada maza aata tha,

nahane jab jata tha to aadhe ghante ke baad aata tha.

tujhe maine "for granted" maan liya tha,

tu mere liye kitna important hai ye jaan liya tha;

jab tu hyderabad se bngalore gaya,

tab main chupke se thoda roya;

shaayad tujhe pata nahi teri hasiyat kya hai,

tu sirf dost nahi zaroorat ban gaya hai;

agar kabhi aisa lage ke tujhe madad chahiye,

bejijak aap mere paas hi aaiye;

dil pe na lena koi bhi mazak hum kare,

ye dosti hamesha amar rahe.



us ladki ke baare main aapko kaise bataunga,

uske liye main apne dil ki aawaz kaise jataunga,

duniya main kabhi hum aise rishte bhi banate hai,

jo shayad janmo janam tak nibhate hai;

vani tune dosti ka matlab sikhaya mujhe,

in lafso main tei tareef kafi nahi hai yeh bata dun tujhe;

pehli baar jab satyam main tujhe dekha,

dil main ek sawaal sa utha,

yeh kaun ladki hai jo kahdi hai,

dikhti badi nakchadi hai;

par jab tujhe maine jana dhyaan se,

pata chala ye bhari hui hai bohot gyaan se;

canteen main pehli baar tujhse baat hui thi,

kitni haseen wo mulakat hui thi;

bus choot gayi thi humari us roz,

prathna karta hun aisa din aaye harroz;

yaad hai jab hum pehli baar old fox jaa rahe the,

dhadkano main tum dheere dheere sama rahe the;

gujarati samaj jab bhi tumse milne aate the,

bohot hasi khushi waha se vaapis jaate the;

sabse jyada mujhe accha tune tab lagaya,

jab navratri ke vakht tune mujhe garba sikhaya;

yaad hai wo STC main test ki taiyari karna,

test ke pehle ghabrana aur darna;

roz subah 5:30 ko bus main jana hota boring,

saath main nahi hote agar tu aur teri snoring;

tune mere kitne hathode sahan kiye,

humne training main saath baith kar kitne maze kiye;

tujhe sabse pehla movie KANK dikhaya tha,

picture dekhne ka itna maza kabhi nahi aaya tha;

humne saath main baith ke kitne mast program banaye the,

test ke pehle question bank dekh ke book ke funde hilaye the;

ghar pe "thank you" letter likh ke khoob aansu bahaye the,

shukra guzar hun bhagwaan ka ki maine aise dost apnaye the;

diwali pe ghar jaane main jitna maza aaya tha,

satyam vaalo ne baad main utna zyada rulaya tha;

kabhi kabhi hum main khichatani hui hai,(ghar jaane se pehle)

par kya yeh acchi dosti ki nishaani nahi hai;

bangalore jab chod ke jaana pada tumse door,

kabhi na jata agar na hota main majboor;

ro ro ke itna bura haal kiya tha ,

ki raat ko soya to takiya gila kiya tha;

dar baith gaya dil main ki agar tujhe kabhinahi mil paunga,

aise dost ke bina to main zinda hi mar jaunga;

par bhagwaan ne meri baat sunli,

aur teri transfer bangalore kardi;

karte the raat bhar jaag ke nayi nayi baat,

office se aake banate the khana roz saath;

fir jab tu roti thi to bada dukh hota tha,

tujhe kya pata tere saath main bhi rota tha;

he bhagwaan chunna pade dono mai se kisi ko agar,

main hi aaunga tumhare saath tumhare ghar.



kitna accha hota agar shaadi ka janjat na hota,

koi bhi dost humse na bichadta;

shivika tune karke shaadi,

cheen li humse humari zindagi aadhi;

gujarati samaj main jab tujhe dekha pehli baar,

pata nahi tha dosti main hoga mera beda paar;

logo ko acche dost banane main lag jaati hai kai saal,

par teen mahine ki dosti main, tere bina jeena ho gaya behaal;

itna jaldi tu humse kareeb aa gayi,

humare dil o dimag pe bas tu hi chaa gayi;

yaad hai jab hum ganesh visarjan karne tumhare room pe aaye tha,

udhar se hum "aap ki khatir" dekh ke aaye the;

picture shaayad bohot buri thi,

phir bhi humne usko dekhi puri thi;

aur teri har photo main muh bigad ke tu cute lagti thi,

par meri har "tragedy" ko sirf tu hi samaj sakti thi;

hum poori raat mis call kyon marte rehte the,

shaayad poori raat ek doosro ko yaad karte the;

"aa j vaat ma to mane interest hato" keh ke tujhe satata tha,

hituda ke saath tujhe chidane main bada maza aata tha;

annual function main zordaar mazza aaya tha,

jab "pal pal pal" wala geet saath main gaya tha;

na jaane kitne icecreams khaye aur chits chipkaaye,

ki ab to dinshaws waale bhi aawaz se pehchaan paaye;

kaise roz subah ko hum STC ki canteen main jaate the,

wohi rukha sukha aaloo paratha kha ke aate the;

ghar se aaye the jab flight main hum saath saath,

aane par padi thi humain bohot bhayanak daant;

tere dheere dheere chalne par main hamesha akadta tha,

par jab bhi mood thoda down hota to tera haath pakadta tha;

wo din bohot maza aaya tha jab chai ke chakkar main bus chuti thi,

aur phir ek hi auto main 4 jodi baithi thi;

yaad hai wo din jab hum STC main baarish main nahaye the,

aur "munna bhai" dekhne ke baad vaade banaye the;

jab itne khush ho ki khushi dil main na samaye,

tab aisa kuch ho jata hai ki lage sab kuch gavaye;

meri aankho ka bandh us din toot gaya,

jis din main tumse choot gaya;

bus pe chadne se pehle ek hi khayal aata tha,

wo ladki nahi aa rahi hai saath main, zindagi se ye kaisa samjauta tha;

khoob roya bus main poori raat jaag kar,

tere mujhe hindi ke shabd sikhana yaad kar;

par samay humko jeena sikha deta hai,

judaai ka ye zehar peena sikha deta hai;

kar ke shaadi laga tu parayi ho jayegi,

dosti chod ke tu hum se bichad jayegi;

par jaana to ek din sabhi ko hai,

naye rishte banana ek din sabhi ko hai;

aashish kitna khushnaseeb hai tere jaisi biwi paa kar,

jalan hoti hai idhar hum doston ko tere jaisi dost kho kar;

par kaun kehta hai ki tu ab hamari dost nahi hai,

humare dil main to teri jagah ab bhi vahi hai;

tu bangalore ek din aayegi, dil naumeed nahi,nakaam hi to hai,

lambi hai yeh judai ki shaam, par shaam hi to hai.



agar dekhna chahte ho gehri dosti ka tarana,

kabhi talamsudha appartment aa jana;

bemisaal dosti ka aisa nazrana hai,

aaj ye shayari se mujhe farmana hai;

keyur ki ahmiyat zindagi main itni hai,

machli ko paani ki zaroorat jitni hai;

mila usse pehli baar main ST bus ke andar,

pata nahi tha itna accha dost banega mera, ye bandar;

tera roz late uthna mujhe yaad hai,

par tere se mujhe nahikoi koi fariyaad hai;

humne saath main gym join kiya tha,

par 4 din ke baad gym ke time pe soya tha;

naseeb mera bohot shandaar hai,

ki tu mere saath lagataar hai;

agar tu mujhe padhai na sikhata,

to beshaq main test fail kar aata;

annual function ke time tere pe chillaya tha,

us din khud ko bohot akela paya tha;

yaad hai wo manisha ben ke yahan tifin khana,

aur roz dhoondhna kapade dhone ka naya bahana;

us din bada maza aaya tha,

jab humne saath mil ke sandwich banaya tha,

navratri pe khoob nache the hum,

raatbhar baith ke baate the humne gum;

bangalore tu jab mere saath aaya,

mujhe laga main apna sabse accha dost apne saath laya;

tu nahi hota to mushkil hota jeena idhar,

tere bina main bangalore me main jata kidhar;

kuch bhi pareshaani ho to main tere hi pass aata,

aur sun ke meri baat tu mujhe solution batata;

yaad hai wo hum chat par 3 baje tak baithte the,

chand main tarah tarah ke logo ke chehre dekhte the;

saath main hum hyderabad bus karke jaate the,

aur ghar pe tere haathon ka undhiya khate the;

holi ka din kaise bhul sakunga,

maaf kar dena agar main teri baatein sunte sunte so jaunga;

tere saath bannerghatta ki trip hamesha yaad aayegi,

jo bhi teri biwi banegi wo bohot khushiyan payegi;

ek salah hai sirf tujhse,

dil ki koi bhi baat chupana mat mujhse;

teri love story ka sad end nahi hoga,

agar hua bhi to wo story ka end nahi hoga;

tere liye dil se to sirf ek hi dua niklegi,

bhagwaan kare tujhe kuch ho usse pehle meri arthi niklegi;



wo chulbuli natkhat ladki kaha hai,

jisko dekhne ke liye dil bekaraar hai;

tujhko dekh ke main apne saare dukh dard bhul jata hun,

tere jaisi dost paa kar main shaan se phul jata hun;

mila main tujhse pehle satyam main,

pehle kyon nahi mili tu mujhe college main?;

jo bhi ho jaan ke tujhe laga ki kitni pyaari hai,

ab samaj main aaya kyon tu sabki dulaari hai;

pata chala ki inki to shaadi hone waali hai,

tu itni pyaari hai ki "sweet"bhi tere liye ek gali hai;

yaad hai jab hum P K S E gaye the dekhne ko,

maza aaya tha tab hathode phekne ko;

bindaas tere jaisi koi nahi in this world,

you really are a "very good girl";

yaad hai wo din jab humne ghar pe bhindi banayi thi,

bohot acchi bani thi aur pet bhar ke khayi thi;

teri chai ke to kya kehne,

acche lagte the tere ajeeb gehne;

old fox main jab hum saath main gaye the,

tab hum dost thode naye the;

par phir to yeh dosti ka silsila badhta hi gaya,

dinshaws ke chakkar tere saath lagata hi gaya;

meri challenge ko tu na bhulna,

apna weight badhakar hi rehna;

sabse maza to tab aaya tha,

jab main akele tumse milne hyd aaya tha;

humne kafi vaqht saath main beetaya,

shivli aur tune mujhe khoob hasaya;

bohot dhuk poncha tha humain jab tu roi thi,

laga tujhe ki tu akeli hyderabad man khoi thi;

par ghabrana mat e mere yaar,

aate rahenge tumse milne hyd hum baar baar;

bas hiren ka accha khayal rakhna,

nandu aur hit jaisa na jagadna;

rona kabhi nahi, chahe zindagi main bohot dukh aaye,

sine wave si chalti hai ye zindagi, dukh ke baad sukh hi aaye.

bhul se bhi humain mat bhula dena,

dil ke nagar ki yeh basti mat ujad dena.

3 comments:

dishitd said...

superb tribute to your friends!
hats off to you!

dishitd said...

something for you at The Observationzz

Keep Blogging!!

rajatpawar said...

aha :)